Poetry!












Haqiqat jaan kr aisi himaqat kon karta hai?
Bhala be faiz logon se mohabbat kon karta hai?

Batao jis tijarat main khasara he khasara ho!
Bina sochay khasaray ke tijarat kon karta hai?

Hamain he ghalat fehmi thi kisi k wastay warna!
Zamanay k rewajon se baghawat kon karta hai?

Khuda ne sabar karnay ki mujhay tofeeq bakhshi hai!
Ary g bhar k tarpao shikayat kon karta hai?

Kisi k dill k zakhmon pr marham rakhna zarori hai!
Es dour main “Mohsin” yeah zehmat kon karta hai?
-----------------------------------------------

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka

rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan

taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs

halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya

warna har ek sans qayamat use bhi thi

-------------------------------------------------

nhi masroof ain itna k wahan ka rasta bhool jayo.....

koi jab muntazir hi na ho to jana acha nhi legta.....

-----------------------------------------------

Mujhy Lekh Kar Kahain Mahfooz Kar Lo Mohsin,

Tumhari Baaton Say Nikalta Ja Raha Ho Main.

-----------------------------------------------

Haseen Aankhon Ko Parhne Ka Abhi Shoq Hai Mohsin
Mohabbat Mein Ujar Kar Bhi Meri Aadat Nahi Badli

-----------------------------------------------

Ager Mujh Se Bicherne Ka Nahe Hai Gham Osay Mohsin
Tu Phir Khamosh Raaton Main Wo Akser Jagta Kiyu Hai

-----------------------------------------------

Na Jane Kiya Kaha Doobnay Walay Nay Samander Say
Keh Lehraen Aaj Tak Sahil Pay Apna Sir Patakhti Hain…!

------------------------------------------------

Youn dekhtey rehna ussey achha nahi Mohsin
Wo kaanch ka paikar hai to PATHAR teri ankhein

-----------------------------------------------

Mohsin Woh Aankhein Jheel see Gehri To Hain Magar
Un Main Koi Bhi Aks Mere Naam Ka Nahi

-----------------------------------------------

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai
adhura chand bhi kitna udas lagta hai
ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh
k is k bad wahi duriyon ka sahara hai
kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar
...kise khabar tere saye main kaun baitha hai
ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko
wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai
main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai
tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

----------------------------------------------

is se pahale ke bevafa ho jayain
kyon na ai dost ham juda ho jayain
tu bhi hire se ban gaya patthar
ham bhi kal kya se kya ho jayain
ham bhi majaburiyon ka uzr karain
...aur kahin aur mubtala ho jayain
ishq bhi khel hai nasibon ka
khak ho jayain kimiya ho jayain
ab ke gar tu mile to ham tujh se
aise lipatain teri qaba ho jayain
bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz'
kya karain log jab khuda ho jayain

----------------------------------------

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
...
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

--------------------------------------------

ab naye sal ki mohlat nahin milne vali
a chuk ab to shab-o-roz azabon vale

ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain
ab kahan log muhabbat k nisabon vale
...
zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain
fakhtaon k bhi kirdar uqabon vale

na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina
mausam aye hi nahin ab k gulabon vale

-------------------------------------------

qurbaton main bhi judai ke zamane mange
dil wo bemehar ki rone ke bahane mange

apana ye hal ke ji har chuke lut bhi chuke
aur muhabbat vahi andaz purane mange
...
ham na hote to kisi aur ke charche hote
khalqat-e-shahar to kahane ko fasane mange

dil kisi hal pe mane hi nahin jan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jane mange

-------------------------------------------

phir usi rahguzar par shayad
ham kabhi mil sakain magar shayad

jan pahachan se kya hoga
phir bhi ai dost gaur kar shayad
...
muntazir jin ke ham rahe tum ho
mil gaye aur hamsafar shayad

jo bhi bichare hain kab mile hain 'Faraz'
phir bhi tu intazar kar shyad

-------------------------------------------

karon na yad agar kis tarah bhulaon use

gazal bahana karon aur gungunaon use



wo khar-khar hai shakh-e-gulab ki manind

main zakhm-zakhm hon phir bhi gale lagaon use



ye log tazakare karate hain apne logon se

main kaise bat karon aur kahan se laon use



magar wo zudfaramosh zud ranj bhi hai

ke ruth jaye agar yad kuch dilaon use



vahi jo daulat-e-dil hai vahi jo rahat-e-jan

tumhari bat pe ai nasiho ganvaon use



jo hamsafar sar-e-manzil bichar raha hai 'Faraz'

ajab nahin ki agar yad bhi na aon use

---------------------------------------------

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
zara fasana-e-dil ibtida karo us se
...
ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho
kabhi to us ke bahane suna karo us se

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

----------------------------------------------

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
...
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

---------------------------------------

Dwa-e-bed nhi deta feqt itna he kehta hoo
Jise to chay wo tuj sa bewafa na ho

---------------------------------------

Usne mujhe chor dia to kia hua FARAZ
Maine bhi to chora tha sara zamana us ke liye

---------------------------------------

Barbaad karne ke aur bhi raste thay FARAZ
Na jane unhain muhabbat ka hi khayal kyon aaya

----------------------------------------

Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz…
MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain

----------------------------------------

Ab use roz na sochoon to badan toot'ta hai Faraz

Umar guzri hai uss ki yaad ka nasha karte

-----------------------------------------

wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do

-----------------------------------------

Hothon pe unke siva koi naam nahi
peeta hun jaam lekin iska koi kaam nahi
hataun kaise aapko hamari yaadon se
wafa hone ka anjam maine pehle kabhi paya nahi

------------------------------------------

Tabeer Jo Mill Jati To Ik Khuwaab bhot tha….
Jo Shakhs Ganwa Bethi Hon Nayaab Bhto Tha…..
Main kaise Bacha Leti Bhala Kashti_e_Dil Ko Sagar_
Darya_e_Muhabbat Main Saylaab Bhot Tha…

------------------------------------------

Na Mila Dil Ka Qadar daan Is Zamaney main….
Yeh Rishtaa Toot Gaya Dekhney Dikhaaney Main…
Sochta Hon Ik Roz Shama Sey Poochon Sagar_
Maza Kis Mein Hai Jalney Main Ya Jalaney Main….!!!!!!!

-------------------------------------------

Wo kuch sunta to mein kheta, Mujhy kuch aur khena tha,
Wo Pal bhar ko jo Ruk jata, mujhy Kuch aur khena tha,
Galat Fehmi ny Batoon ko barha dala yunhi warna,
Kaha tha kuch Wo Smjha kuch, Mujhy kuch aur khena tha….

--------------------------------------------

Uddaasi ki to ab aadat si hai humain,
Khushiyon ko ab Dil anjan kehta hai,
Chahat thi jis ki wo nhi hua apna,
Yun to apna humein saara jahan kehta hai…!

--------------------------------------------

Jatay thay mere haq mein sab hi faislay magar,,
munsif ne bhi har baar diya saath ussi ka,,
Ek wo hai k yun Tor diye rishtay sabhi hum se
Ek DIL hai ke rehta hy tarafdaar ussi ka…..!!!!!

--------------------------------------------

Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
...Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Se Hai

-------------------------------------------

mujh sey baad-d-bahara’n nay ro ker kaha,
teri qismat bahaaro’n k qabil nahi,
teri dunya hay ashkon may dobi hoi,
teri aankhen nazaaro’n k qabil nahi,
meri kashti ko toofa’n ne bosy diay,
...boli moj-e-talatum mujy deikh kar,
teri taqdeer may hain bhanwar hi bhanwar,
teri kashti kinaro k qabil nahi,

------------------------------------------

Tere shaher teri soch se nikal jaaon ga
Kisi udaas sham main dhal jaaon ga
Tu Ju muker gaya hay her baat se apni
Dekh lena aik din main bhi badal jaon ga
Mat dikha mujh ko apna pashemaan chehra
...Jab k tu janta hay main pighal jaaon ga
Chahe lakh terpoon tere intzaar mein
Mat lout k ana main sambhal jaaon

-----------------------------------------

Koi lamha bhi kabhi laut kar nahee aaya
Woh shaks aisa gaya phir nazar nahee aaya
Wafa ke dasht mein raasta nahee mila koi
Siwayye gard-e-safar humsafar nahee aaya
Kisi chiraag ne poochi nahee khabbar meri
...Koi bhi phool mere naam per nahee aaya
Pallat ker aane lagay shaam ke parinday bhi
Hamara subha ka bhoola magar nahee aaya

------------------------------------------

Vada to kar lete hai Nibhana Bhul Jate Hain
Laga k Aag Seene Me Bujhana Bhul Jate hain.
Bhulana To Aadat ho gayee hai logo ki.
Rulate hai phir manana bhul jate hain.

------------------------------------------

is ki bewafi per bhi fida hoti hai jan apni ,
kuda jany ager is ma wafa hoti tu kia hota

------------------------------------------

Hum.ne tarq-e-talluq me pehail kerdi k
Wo chahta b yehi tha per usme hosla na tha.

-------------------------------------------

Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..

-------------------------------------------

Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,



Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,

Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,



Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,

Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,



Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,

Hum to andhere main sonay k aadi they,



Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.

Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz!


Mar gaye hain to ab qabar pe aansu bhanye aagaye,

------------------------------------------

Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!

------------------------------------------

Mein us ka hoon,yeh razz tu wo jan gia hai Faraz
Wo kis ka hia, ye razz muje sune nhi deta

------------------------------------------

Hum Se Bichar K Us Ka Takbbur Bikhar Gaya Faraz

Har Ek Se Mil Raha Hy Barii Aajzii K Saath

------------------------------------------

Main Ne Yeh Soch Ker Tasbhi He Tor Di Faraz…..!

Kia Gin Gin Ker Mango Us Se Jo Behisab Deta Hai

------------------------------------------

tuu paas bhi ho to dil beqaraar apanaa hai

ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai



mile koi bhi teraa zikr cheer dete hain

ke jaise saaraa jahaan raazdaar apanaa hai



wo duur ho to bajaa tark-e-dosti kaa khayaal

wo saamane ho to kab ikhtiyaar apanaa hai



zamaane bhar ke dukhon ko lagaa liyaa dil se

is aasare pe ke ik gamgusaar apanaa hai



‘Faraz’ raahat-e-jaan bhi vahi hai kyaa kije

wo jis ke haath se sinaafigaar apanaa hai

-----------------------------------------

Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae

Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae



Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain

Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

...

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae

Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae



Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi

Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae



Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz

Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!

--------------------------------------------

himmat-e-iltija nahin baqi
zabt ka hausla nahin baqi

ik teri did chin gai mujh se
warna duniya main kya nahin baqi
...
apni mashq-e-sitam se hath na khench
main nahin ya wafa nahin baqi

teri chashm-e-alamnawaz ki khair
dil main koi gila nahin baqi

ho chuka khatm ahad-e-hijr-o-wisal
zindagi main maza nahin baqi

-----------------------------------

moj e hawa tu he bata wo dost hamara kaisa ha!
Jo bhool chuka ha hamain kab se wo jaan se peyara kaisa ha?

Kea us k jeevan lamhon main koe lamha maira baqi ha?
Kea us ke jagti ankhon main meri yaad abhe bhe baqi ha?

Agar aisa nahe to tu he bata! ham yaad usay keon kartay hain?

Woh ham se bichar kar khush ha agar! to pal pal ham keon martay hain?

A moj e hawa tu he bata! woh jaan se peyara kaisa ha?

---------------------------------------

Muhabbat Zindagi K Faislon Se Larr Nahi Sakti…

Kisi Ko Khona Parta Hai To Kisi Ka Hona Parta Hai..

---------------------------------------

Is Khyaal Sey AansOo ChUpa Liye hUm Ney

Udaas Reh Kar Kisi kO Udaas Kya Karna...!!!

---------------------------------------

یا رب تو چھین لے میری سوچیں میرے خیال

یا مجھ کو زندہ رہنے کی اتنی سزا نہ دے

--------------------------------------

Unko Apne Haal ka Hisaab Kya Dete?

Sawal Saare Galat The, Hum Jawab Kya Dete?

Wo Toh Lafzo Ki Hifazat Bhi Naa Kr Sake...
...
Phir Unke Hath Mein Zndgi Ki Puri Kitaab Kya Dete???

--------------------------------------

Pal hi aisa tha ki hum inkar na kar paye,

zamane k darr se ikrar na kar paye,

na thi jinke bina zindagi munasib,
...
chorr diya sath unhone aur hum sawal tak na kar paye

----------------------------------------

Guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha

ankhon main jagta hai koi rat ki tarha

os se umeed thi k nabhaye ga sath
...
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha.

---------------------------------------

Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya

khali hi sahi haathon me jaam to aaya

main hoon bewafa sabko bataya usne

yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya..

---------------------------------------

Kaash Ke Unhe Chahne Ka Armaan Na Hota

Main Hosh Mein Hote Huye Anjaan Na Hota

Yeh Pyaar Na Hota Kisi Patthar Dil Se Hume

Ya Koi Patthar Dil Insaan Na Hota.

---------------------------------------